Jana Mere Sawalo Ka Manzar Tu Lyrics | Kushagra
Jaana, tu aata nahi
Sapno se jaata nahi
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Jaana, mere sawaalon ka manzar tu
Haan, main sookha sa, saara samandar tu
Haan, gulaabi si surkhi jo dikhti thi
Phir se dikhje toh jee bhar ke saah bhar loon
Kaati kitni thi raatein, nahi soya main
Tujhko kitna bulaya, phir roya main
Teri saari woh baatein kyun sone nahi deti?
Sataaye mujhe, haan, fir khoya main
Tu aata nahi
Sapno se jaata nahi
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Sambhaal ke rakha woh phool mera tu
Meri shayari mein zaroor raha tu
Jo aankhon mein pyari si duniya basaayi
Woh duniya bhi tha tu, woh lamha bhi tha tu
Haan, lagte hain mujhko yeh qisse sataane
Deta na dil mera tujhko bhulaane
Adhoore se waade, adhoori si raatein
Ab hisse mein dakhil meri bas woh yaadein
Rehna tha banke hum-dum tera
Aise jaana hi tha, phir tu kyun thehra?
Ab na maane mera dil, ke na tere qaabil
Thi ik aarzoo, ki main kehta raha
Par tu aata nahi
Sapno se jaata nahi
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin
Jo bhi ho raaz tera
Mujhko batata nahi
Mil jaaye, kya hi baat thi
Kaamil ho jaata wahin